Thursday, December 27, 2012

Neechi Nazroon main Qayamat ka Asar hota hai …


Neechi Nazroon main Qayamat ka Asar hota hai …
Husn Kuch or Nikhar Jata hai Sharmanay se ...

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai ...


Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai ...
Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai ...
Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah ...
Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai ...
Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar ...
Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai ...
Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse ...
Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai ...

Wednesday, December 26, 2012

Qurb K Na Wafa K Hote Hain ...


Qurb K Na Wafa K Hote Hain ...
Saray Jhagray Ana K Hote Hain ...
Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna ...
Waqt Saray Dua K Hote Hain ...
Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna ...
Log Putlay Khata K Hote Hain ...
Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte ...
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain ...
Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz ...
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain ...

Tum ko barish pasand hai ...


Tum ko barish pasand hai ...
Mujhe barish me TUM,
Tum ko hasna pasand hai ...
Mujhe hastey hue TUM,
Tum ko bolna pasand hai ...
Mujhe boltey hue TUM,
Tum ko sab kuch pasand hai ...
Or Mujhe bas TUM …

Tuesday, December 25, 2012

Talluq tod do par itnaaaa bata do …


Talluq tod do par itnaaaa bata do …
 tumhare bad duniya mAi meri pehchan kya hogi …

Toot Ke Bikharti Hoon Toh Iss Baat Ka Ehsaas Hota Hai ...


Toot Ke Bikharti Hoon Toh Iss Baat Ka Ehsaas Hota Hai ...
Zindagi Itni Takleef Deti Hai To Maut Ka Aalam Kya Hoga ...

Monday, December 24, 2012

Hussn-e-Kirdaar say Noor-e-Mujassim Ho Ja ...

 

Hussn-e-Kirdaar say Noor-e-Mujassim Ho Ja ...
Ky iblees Bhi Tujhay Dehkay to Musalmaan Ho Jaey …
apnay mann mein doob kar paa ja suragh-e-zindagi ...
Tuu agar Mera nahi banta tou na ban, apna tou ban ...

zara si baat dair tak rulati rahi ...


zara si baat dair tak rulati rahi ...
Hansi me bhi aankhe aansu bahati rhi ...
Koi kho k mil gya,koi mil K kho gya ...
Zindagi hamko bas aise Hi aazmati rahi ...

Sunday, December 23, 2012

Jay rabb mildaa,nahateyan dhotiyan ...


Jay rabb mildaa,nahateyan dhotiyan ...
Ta milda dadooan machhian ...
Jay rabb milda jangal bailay ...
Ta milda gaaeean vachhiyan ...
Jay rabb milda vich maseetin ...
Ta milda chamchdikiyan ...
Oh bulle shah rabb ohna nu milda ...
Tay neetan jinha deean sachiyan ...

Un ka aana sirf mere khuawb tak mehdood hai ...


Un ka aana sirf mere khuawb tak mehdood hai ...
Raabta hote hoye bhi raabta koi nahin ...

Saturday, December 22, 2012

Suna hay barish usay bhi pasand hay ...


Suna hay barish usay bhi pasand hay ...
wo bhi meri tarhan barasti bundon ko hathon may samayt leti hay ...
Suna hay Phool usay bhi pasand hain ...
Wo bhi meri tarhan phoolon say ghanton batain karti rehti hay ...
Suna hay chand usay bhi pasand hay ...
Wo bhi meri tarhan raat raat bhar usay takti rehti hay ...
Suna hay tanhai usay bhi pasand hay ...
Wo bhi meri tarhan …
 Par wo tanha beth kar kis ko sochti hay ...
Sari batain sachi hain Magar ...
Ye bhi sach hay ...
Main jo uss k baray may har baat ki khabar rakhta hon ...
Ye bhi janta hon k uss ki sochon ka mahwar main nahi ...

W0 barray Tajasus se poch baithay meray gham ki waja ...


W0 barray Tajasus se poch baithay meray gham ki waja ...
Mai halki sa muskrai or kaha,m0habbat ki thi…

Friday, December 21, 2012

Qayamat toot parti hai, zara se hont hilne par


Qayamat toot parti hai, zara se hont hilne par...
Najanay kya hashar ho ga, jab wo muskraaye gi...

Kabhi Hum Bhi MOHABBAT Kiya Karty Thy ...


Jab Tere Sheher Me Raha Karte Thy ...
Hum Bhi Chup CHaap Jiya Karte Thy ...
Aankhon Me Piyas Huwa Karti Thi ...
Dil Me Toofan Utha Karte Thy ...
Log Aate Thy Ghazal Sunne ...
Hum Teri Baat Kiya Karte Thy ...
Ghar Ki Diwaar Sajane Ki Khatir ...
Hum Tera Naam Likha Karte Thy ...
Aaj Teri Tasveer Dekhi To Yad Aaya ...
Kabhi Hum Bhi MOHABBAT Kiya Karty Thy ...

Thursday, December 20, 2012

Maarna hi hai muje to, sahmse se vaar krna


 Maarna hi hai muje to, sahmse se vaar krna... 
Skoon to milega, Tuje ek baar dekh kr....

Teri muhabbat ke hifazat kuch iss tarhan say ke hum nay ...


Teri muhabbat ke hifazat kuch iss tarhan say ke hum nay ...
jb kabi kisi nay muhabbat say daikha nazrain juka li hum nay…

Wednesday, December 19, 2012

Dard-o-Gham Sy To Purana Ta’alluq Hein Apna ...


Dard-o-Gham Sy To Purana Ta’alluq Hein Apna ...
Chal Pagal Dil Soo Ja Tujhay Kisi Ny Kiya Yaad Karna Hai ...

Toot jata hai ghareebi mein, woh rishta jo khaas hota hai

 
Toot jata hai ghareebi mein, woh rishta jo khaas hota hai.....
 Hazaro dost bantey hain jab paisa pas hota hai....

Tuesday, December 18, 2012

Kai rog dey gai hai naye mausmon ki barish


Kai rog dey gai hai naye mausmon ki barish...
Mujhay yaad aa rahay hain mujhay bhool janay walay...

Kya khoob tha, us ka andaz e qatal bhi


 Kya khoob tha, us ka andaz e qatal bhi...
Zehr diya mujhe woh bhi honton per lga kar...

Monday, December 17, 2012

Hindu na naheen Musalmaan ...



Hindu na naheen Musalmaan ...
Baheeye tiranjan taj abhimaan ...
Sunni na naheeN ham Sheeya ...
Sulha kuhl ka maarag leeya ...
Bhookhe na naheeN ham rahje ...
NaNge na naheeN ham kahje ...
RoNde na naheeN ham hasde ...
UjaRe na naheeN ham vasde ...
Paapi na sudharmi na ...
Paap pun ki raah na jaanaaN ...
Bulhe Shah jo hari chit laage ...
Hindu turak doojan tiyaage ...

Uske sath rehte rehte uski chahat c hogae …


Uske sath rehte rehte uski chahat c hogae …
Us sy baat krty krty hamein adat c hogae ...
Aik pal na miley tu bechani c lagti hy ...
Dosti nibhaty nibhaty us sy mohabbat c hogae ...

Sunday, December 16, 2012

Bulleh! ki jaana maen kaun Bulleh ...



Bulleh! ki jaana maen kaun Bulleh ...
Na maen momin vich maseet aan ...
Na maen vich kufar diyan reet aan ...
Na maen paakaan vich paleet aan ...
Na maen moosa na pharaun ...
Bulleh! ki jaana maen kaun ...
Na maen andar ved kitaab aan ...
Na vich bhangaan na sharaab aan ...
Na vich rindaan masat kharaab aan ...
Na vich jaagan na vich saun ...
Bulleh! ki jaana maen kaun ...
Na vich shaadi na ghamnaaki ...
Na maen vich paleeti paaki ...
Na maen aabi na maen khaki ...
Na maen aatish na maen paun ...
Bulleh!, ki jaana maen kaun ...
Na maen arabi na lahori ...
Na maen hindi shehar nagauri ...
Na hindu na turak peshawri ...
Na maen rehnda vich nadaun ...
Bulla, ki jaana maen kaun ...
Na maen bheth mazhab da paaya ...
Ne maen aadam havva jaaya ...
Na maen apna naam dharaaya ...
Na vich baitthan na vich bhaun ...
Bulleh , ki jaana maen kaun ...
Avval aakhir aap nu jaana ...
Na koi dooja hor pehchaana ...
Maethon hor na koi siyaana ...
Bulla! ooh khadda hai kaun ...
Bulla, ki jaana maen kaun ...

Masjid Dha Day, Mandir Dha Day ...



Masjid Dha Day, Mandir Dha Day ...
Dha Day Jo Kujh Disda ...
Par Kissay Da Dil Na Dhaween ...
Rub Dilaan Wich Wasda ...

Saturday, December 15, 2012

Parh parh ilm qitaban daaa tu naan rakh lya qazi ...


Parh parh ilm qitaban daaa tu naan rakh lya qazi ...
Hath wich phar ke talwaran.. tu naan rakh lya ghazi ...
Makke madine tu phir ayan.. tu naan rakh lya hajji ...
Vay bulya tu ki haasil kita.. je yaar na rakhya razi ...

Pehli baarish ka nasha hi kuchh alag hota hain ...


Pehli baarish ka nasha hi kuchh alag hota hain ...
Palko ko chhute hi sidha dil pe asar hota hain ...
Mehka mehka saawan aaj iss dil ko behka raha hain ...
Gumsum si nazro ko aaj ye pyar karna sikha raha hain …

Friday, December 14, 2012

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay ...


Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay ...
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay ...
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye ...
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay ...

Is bar bhi barish khoob khob hui aur badal toot k barsa tha ...


Is bar bhi barish khoob khob hui aur badal toot k barsa tha ...
galyan koochy jal thal thy par soch ka darya paysa tha ...
band darwazon k shishon pe jab boondon ne dastak di ...
ehsas hua tum aye ho andaz tmhary jesa tha ...

Thursday, December 13, 2012

Kafi Arsa Beet Gyaa Janay Ab Woh Kaisa Hoga ...


Kafi Arsa Beet Gyaa Janay Ab Woh Kaisa Hoga ...
Waqt Ki Sari Kerwi Batain Chup Chap Sehta Hoga ...
Ab Bhi Bhegge Brish Mein Woh Bn Kay Chatri Chalta Hoga ...
Mujhsay Bichray Arsa Beeta Ab Wo Kis Se Larta Hoga ...
Acha Tha Jo Sath Hi Rhety Baad Mein Os Nay Soccha Hoga ...
Apnay Dil Ki Sari Baatain Khud Say Khud Hi Karta Hogaa …

Vada to kar lete hai Nibhana Bhul Jate Hain ...


Vada to kar lete hai Nibhana Bhul Jate Hain ...
Laga k Aag Seene Me Bujhana Bhul Jate hain ...
Bhulana To Aadat ho gayee hai logo ki ...
Rulate hai phir manana bhul jate hain ...

Wednesday, December 12, 2012

Faqat aik TUM mery hoty mera sara jahan hota …


Faqat aik TUM mery hoty mera sara jahan hota …
Meri jannat meri dunya mera yeh aashiyan hota …
Bhatkti yun na phirti main akely gham ki galiyon mein …
Koi manzil meri hoti koi Naam-o-nishan hota …
Mujhy ab yaad aati hain teri chahat bhari batein …
Meri dunya sanwar jati agar ik TUM sirf mery hoty …

Chhor ke ghar kyaa karte ...


Ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte ...
Shaam ke vaqt safar kyaa karte ...
Terii masruufiyateN jaante the ...
Apne aane kii Khabar kyaa karte ...
Jab sitaare hii nahiiN mil paaye ...
Le ke ham shams-o-qamar kyaa karte ...
Woh musaafir hii khulii dhuup kaa thaa ...
Saaye phailaa ke shajar kyaa karte ...
Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii ...
Kar ke zarre ko gauhar kyaa karte ...

Tuesday, December 11, 2012

raat hotey hi aik panchi roz mjy kehta hai dost ...


raat hotey hi aik panchi roz mjy kehta hai dost ...
dehk mera aashyana b khali hai tery dil ki tarha ...

Log jab poochte hain kay kon bewafa hai ...


Log jab poochte hain kay kon bewafa hai jo teri ye haalat kar gaya …
Main muskura kay kehta hu her kisi ke labb par uska nam achha nhi lagta ...

Monday, December 10, 2012

Un se alag reh kar unhain aur bhi ziadah chahny lagy hain ...


Un se alag reh kar unhain aur bhi ziadah chahny lagy hain ...
Shuru sy hi nazar andaz karty tu aaj akeelay na hoty ...

Marne Ke Baad Bhi Meri Ankhen Khuli Rahin ...


Marne Ke Baad Bhi Meri Ankhen Khuli Rahin ...
Adat Jo Par Gayii Thii Tere Intezaar Ki ...

Sunday, December 9, 2012

Ye Bhi Ek Hadsa Hai Meri Zindagi K Saath …


Ye Bhi Ek Hadsa Hai Meri Zindagi K Saath …
Mein Hoon Kisi K Saath Mera Dil Kisi Aur K Saath ...

Bichar k wo rooz milta hai mujhe khawb main ...


Bichar k wo rooz milta hai mujhe khawb main ...
Agar ye neend b na hoti tu kab k mar gay hote ...

Saturday, December 8, 2012

Abh ye mausam meri pehchaan talab karte hain ...


Abh ye mausam meri pehchaan talab karte hain ...
Main jab ayi thi yehan, taza hawa layi thi …

Andar se toh kab ke mar chuke hain hum …


Andar se toh kab ke mar chuke hain hum …
Aey moat tu B aa jaa ke log saboot mangte hain ...

Friday, December 7, 2012

Mere honton ko ijazaat nahi tere khilaaf bolne ki ...


Shikwe to buhat hain magar shikayaat nahi kar sakte ...
Mere honton ko ijazaat nahi tere khilaaf bolne ki ...

Dil Bhi Aaj Meri Ankhon Se Chimmat Kar Roye …


Kaisa Gham Hai Key Larazta Hai Mera Sara Wajood …
Dil Bhi Aaj Meri Ankhon Se Chimmat Kar Roye …

Thursday, December 6, 2012

Qurban Ho Jaun Us Shakhs K Hathon Ki Lakeeron Par …


Qurban Ho Jaun Us Shakhs K Hathon Ki Lakeeron Par …
Jis Ne Tujhe Manga Bi Nahi aur Tujhe Apna Bana Liya …

Faqat Reh Jatey Hain Mohabbat K Bharm ...


Faqat Reh Jatey Hain Mohabbat K Bharm ...
Bhala Umar Bhar K Liye Bhi Koi Bana Hai Kisi ka ...

Wednesday, December 5, 2012

Mujh main bay loos mohabbat k siwa kuch bhi nhi …


Mujh main bay loos mohabbat k siwa kuch bhi nhi …
Tum ager chahooo to mere sochoon ki talashi lelooo ...

TuJheY HaQ DiYa Hy MeiN Ny MeRey SaTh DiL LaGi Ka …


TuJheY HaQ DiYa Hy MeiN Ny MeRey SaTh DiL LaGi Ka …
MeRey DiL Sy KheL JaB TaK TeRa DiL BeHaaL Na JaYe …

Tuesday, December 4, 2012

Uss ne b hamain bas ik diye ki tarha Samjha tha …


Uss ne b hamain bas ik diye ki tarha Samjha tha …
Raat gehri howi to jala diya, Subha howi to bujha diya ...

Ye Bhi Acha Hai Sirf Sunta Hai …


Ye Bhi Acha Hai Sirf Sunta Hai …
 DIL Agar Boltaa To Qayamat Hoti …

Monday, December 3, 2012

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...