Saturday, December 22, 2012

Suna hay barish usay bhi pasand hay ...


Suna hay barish usay bhi pasand hay ...
wo bhi meri tarhan barasti bundon ko hathon may samayt leti hay ...
Suna hay Phool usay bhi pasand hain ...
Wo bhi meri tarhan phoolon say ghanton batain karti rehti hay ...
Suna hay chand usay bhi pasand hay ...
Wo bhi meri tarhan raat raat bhar usay takti rehti hay ...
Suna hay tanhai usay bhi pasand hay ...
Wo bhi meri tarhan …
 Par wo tanha beth kar kis ko sochti hay ...
Sari batain sachi hain Magar ...
Ye bhi sach hay ...
Main jo uss k baray may har baat ki khabar rakhta hon ...
Ye bhi janta hon k uss ki sochon ka mahwar main nahi ...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...